SHIAN-E-HIND

ARTICLE

 بسم اللہ الرحمٰن الرحیم

ZANJEER ZANI AUR QAMA ZANI KE NUQSANAT

Assalamo alaikum mere pyare doston aise to maine bahot post dekhe jahan par zanjeer ke matam pe bahes ki gai thi tab mai aksar ye samajh k khamosh ho jaya karta tha ki akhir zanjeer k matam me kya kharabi h aur islam ka isme kya nuqsan hai lekin lekin hairat ka thikana us waqt nahi raha jab main eek choti si tahqeeq ki qur iske nuqsanat aur digar ghalat nateeje dekhe!


Ji han! Shia ko is tarha se pahchanwaya ja raha hai is khon bhari tasaveer se dushman ghalat fayda utha raha hai aur duniya ke samne shia ko namaz roza ke bajay sirf khon bahata dikhaya jar aha hai. Aaj jab koi ghair muslim musalman hota hai to firqon ko dekh k tay nahi kar pata kis firqe me jay iske liye wo internet ka istemal karta hai aur jab google pe <<SHIA MUSLIM>> likhta hai to jo tasaveer aati hain wo inko shia se mutnaffir karne, shia ko wahshi sabit karne aur shia se door karne ke liye kafi hoti hai. Aap khud bhi agar apne ko ghair shia samajh ke google pe SHIA MUSLIM likhiye aur aapki screen pe sirf khon hi khoon nazar aay to aap shia ko kya samjhenge??
 
Pahle main bhi aap hi logon ki tarha sonchta tha ki akhir qama zani me kya burai h is se logon ko kya pareshani h ya hamare ulma jo is se mana kar rahe hain q mana kar rahe hain lekin maine bahot Ghaur o fikr kiya aur is tarha ki photos dekhi, dushmano ko in photos se ghalat istefada karte dekha, dushmano ki siyasat dekhi, shia mazhab se logon ko mutnaffir hote dekha to ulma o mujtahdeen ki baten aur unke fatawe mere liye aayina ki tarha saf ho gay aur pori baten meri samajh me aa gai. Is post me agar meri koi baat kisi ko buri lage to mazerat lekin mai aaj kuch haqeeqat ko wazeh karna chahta hun.

 QAMA ZANI AUR DUSHMANO KA GHALAT FAYDA

قال الامام الصادق (ع) کونوا لنا زینا، ولا تکونوا علینا شینا (أمالی الطوسی :۵۵۔۲)
“Ay shiyon hamare liye baese zeenat bano zillat ka sabab na bano”

Yon to hamesha se hamare ulam kahte aay hain ki agar azadari me koi aisi cheez jis se deen ko nuqsan pahunche to wo jayz nahi h aur ham zanjeer zani qama zani bhi zmane se karte a rahe h lekim hamare ulma khamosh the kiun ki us waqt ye sirf  ek hi jagha mahdod thi lekin jab hamare ulma ne dekha ki ab is se dushman ghalat fayda uthane lage hain to is rasm k bare me awaz uthani shuru ki lekin dushmnane deen jinko kai baar mujtahdeen ne maat di jaise ek dushmane deen jo tanbaqo ki kasht ki gharaz se iran me dakhil hua aur gumrahi pahlani chahi to aytullah zainul abedeen sb ne use maat di ya salman rushdi ke bare me imam khumaini r.a ka fatwa jo ek bharpoor tamacha tha ya is tarha k bahot se waqeyat jin k  ro numa hone k bad dushman samjh chuka tha ki shia ki sab se badi taqat mujtahid aur unka fatwa h jis se sare  shia ek pletform pe a jate hain to in logon ne shia ko mujtahid k khilaf bhadkane ka faisla kar liya aur kuch had tak kamyab bhi huwe aaj jab unhi ulma ne hame bataya ki zanjeer zani se ye ye nuqsanat ho rahe hain to in dushmano ko ek baar phir mauqa mil gaya aur ye logon ne ham jaise kuch nadan logon ko mujtahid k khilaf hi la k khada kar diya aur azadari k silsile me hamare jazbat se khelne lage aur hame ye sabaq padha diya ki azadari k silsile me mujtahid kon hote h bolne wale aur kiun ki hamne bhi apni mahdod nigahon aur naqis aqalo se thoda gaur o fikr kiya aur ham bhi jazbat k bahao me bah nikle lekin hamara slam ho un ulma ki door ras nigahon par jinho ne is zanjeer zani aur qama zani se wajood me aane wale khatron ko dekha aur hame us se aagah kiya. Ab ham aapko batate hain ki ye dushman hamare is amal se kaise fayda uthate hain duniya k samne hamari kaisi tasweer pesh karte h aur jo shia hona chahta h usko kaise shiat se door karte hain.




Is tarha ki photos me ek khamosh messages hota h jo dushman tableegh k taur pe istemal karte hain aur duniya ko ye batate hain ki dekho in shia aur janwar me kitna farq h ki ek janwar bhi apne bacchon se kitna pyar karta hai lekin ye shia kitne be rahm hote hain. Ye ham jante aur samajhte hain ki ye jo ham kar rahe h imam Husain a.s ki muhabbat me kar rahe hain lekin dushman isko doosri tarha se pesh karte hain aur jo shia hona chahta h use is tarha ki tableegh kar k hamari nafrat unke dil me paida kar dete hain.









Ye tasaveer duniya ki mashor aur awwal darje ki web site se lafze (SHIA MUSLIM) aur (ASHURA) likh kar search ki gai hain. G han shia ko duniya me is tarha pahchanwaya ja raha hai aur iske liye ye qama zani aur…ki tasaveer o videos daleel k taur pe pesh ki ja rahi h aur ispar  pori committe kaam kar rahi hai, ya hal me hi ek indian film PK nashr hui thi usme bhi shia ko zanjeer ka matam karte huwe pahchanwaya gaya tha to kya shia namaz nahi padhte? Roza nahi rakhte? Haj nahi karte…? To akhir hamari pahchan sirf zanjeer zani hi kiun banai ja rahi hai?
Kya aap jante hain mashor American edar GALLUP ka kya kahna h? kahti hai agle pandrah salon k andar islam pahle number pea a jayga. Tezi se log musalman ho rahe hain aur musalman hone se pahle jab wo tahqeeq karte hain aur ye jan’ne ki koshish karte hain ki shia muslim kon hain aur sunni muslim kon hain, ye google pe jate hain likhte hain SUNNI MUSALMAN usme dekhte hain tasveeren aati hain jinme sunni ba jama’at namaz ada kar rahi hain,lekin jab wo SHIA MUSLIM likhte hain to dekhte hain ki screen pe sirf khon hi khon hai wo sonchte hain are ye to bilkul wahshi hsin apne hi ko kate daal rahe hain apne bacchon ko ki kaat rahe hain aksar log shia pe tanz karte hain ki tum deewane aur bade wahshi log ho, aap khud hi apne ko yuropy samajh k SHIA MUSLIM search Karen aur screen pe sirf khon nazar aay to aap kya tasawwor karenge shia k bare me? Ek maa jo apne bacche ko qama laga rahi h agar aap yuropy hote to shia ko kya samjhte?
Aksar yuropy esai jo musalman ho rahi hai sunni ho rahi hai inke shia na hone ka ek bahot bada sabab ye khoon alood tasveere hain, wahabiyon k canls in photos aur videos ko phailate hain.
Aap ko maloom hona chahiye ki jo eisai sunni hote hain wahabi in par ghalib ho jate hain aur wo wahabi ho jate hain, sham ki missal aapke samne hai jahan kai wahabi groups sar garm hain 20 hazar se zyada aur 50 mukhtalif mulkon ke dahshat gard, inka kam wahabi meadia aasan kar deti hai , wo log is tarha ki vedeos clips chelate hain ki dekho shia aag pe chal rahe hain, shia apne baccho ko jo apni takleef bata bhi nahi sakte unko qama laga rahe hain, beshak beshak ham ye kaam bibi sakina keg ham me kar rahe hain, hazrat ali asghar k gham me kar rahe hain, imam Husain a.s keg ham me kar rahe hain lekin dushman in cheezon ko ghalat istemaal kar raha hai isko khob phailata hai aur logon ke dilon me shia ki nafrat phailate hain aur khod wahabi kahte hain dekho ye shia gumrah hain aur ham haq par hain. Ham khud ko ghair muslim farz Karen aur sonche, kya fikr paida hoti hai in photos se?
Plz plz dushman ko mauqa mat dijiye tableegh ka, kahin aisa na ho ki 10 hazar log muhibbe ali a.s ban’na chahte hon lekin hamari wajha se sirf 10 log shia aur muhibbe ali a.s bane, agar aisa hua to iska zimmedar kon hai?? Ham rasole akram saww ko kya jawab denge ki ham iski wajha bane? Khuda gawah hai ki iske zimmedar ham hain qasam se ham zimmedar hain aur imame zamana a.j ke zahoor k bhi 

No comments:

Post a Comment